Pathrili Si Sham Mein Tumne Aise Yaad Kiya Jaanam

pathrili si sham mein tum ne aise yaad kiya jaanam

sari raat tumhaari KHatir main ne zahr piya jaanam

suraj ki manind bana hun reza reza bikhra hun

ab jiwan ka sar-chashma hun waise KHub jila jaanam

tum ne mujh mein jo kuchh khoya us ki qimat tum jaano

main ne tum se jo kuchh paya hai wo besh-baha jaanam

tum ko bhi pahchan nahin hai shayad meri uljhan ki

lekin hum milte rahte to achchha hi rahta jaanam

ye sahab jin se mil kar sab ka ji KHush ho jata hai

raat gae tak un ke kamre mein jalta hai kya jaanam

rakh pao to rok lo hum ko gahrai ke basi hain

bahte pani ke qatron mein hota hai dariya jaanam

dard-e-judai mein likkhe hain sher tumhaare nam bahut

tum mere ghar mein rahtin to kya aisa hota jaanam

(673) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pathrili Si Sham Mein Tumne Aise Yaad Kiya Jaanam In English By Famous Poet Anees Ansari. Pathrili Si Sham Mein Tumne Aise Yaad Kiya Jaanam is written by Anees Ansari. Read famous Poem Pathrili Si Sham Mein Tumne Aise Yaad Kiya Jaanam for youth and Student by Anees Ansari. Free Download Pathrili Si Sham Mein Tumne Aise Yaad Kiya Jaanam in PDF.