Hur-o-ghilman Ke Talabgar Se Waqif Main Hun

hur-o-ghilman ke talabgar se waqif main hun

sahab-e-jubba-o-dastar se waqif main hun

shahr mein aap farishton se bhi baDh kar Thahre

han magar aap ke kirdar se waqif main hun

haq-nawai ka samajhta hun ise main inam

qaid-o-zindan rasan-o-dar se waqif main hun

wo hai majbur talab se bhi siwa dene par

KHubi-e-jurat-e-izhaar se waqif main hun

munsifi chumti rahti hai dar-e-ahl-e-dil

ai adalat tere kirdar se waqif main hun

sar salamat hai to rauzan bhi bana lunga main

habs tere dar-o-diwar se waqif main hun

kibr-o-naKHwat ka hai ilzam abas 'anjum' par

us ke iKHlas se afkar se waqif main hun

(668) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hur-o-ghilman Ke Talabgar Se Waqif Main Hun In English By Famous Poet Anjum Azimabadi. Hur-o-ghilman Ke Talabgar Se Waqif Main Hun is written by Anjum Azimabadi. Read famous Poem Hur-o-ghilman Ke Talabgar Se Waqif Main Hun for youth and Student by Anjum Azimabadi. Free Download Hur-o-ghilman Ke Talabgar Se Waqif Main Hun in PDF.