Dhup Chhanw Zehnon Ka Aasra Nahin Rakhte

dhup chhanw zehnon ka aasra nahin rakhte

hum gharaz ke bandon se wasta nahin rakhte

zoam-e-parsai mein kab KHayal hai un ko

tanz to wo karte hain aaina nahin rakhte

sazishen alamat to past himmati ki hain

sazishen jo karte hain hausla nahin rakhte

wo ghurur-e-taqwa mein bas yahi samajhte hain

jaise hai KHuda un ka hum KHuda nahin rakhte

tum hawas-paraston ke sainkaDon KHuda Thahre

ek hai KHuda apna dusra nahin rakhte

kis tarah munawwar ho KHana-e-shuur 'anjum'

zehn ke darichon ko tum khula nahin rakhte

(643) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhup Chhanw Zehnon Ka Aasra Nahin Rakhte In English By Famous Poet Anjum Azimabadi. Dhup Chhanw Zehnon Ka Aasra Nahin Rakhte is written by Anjum Azimabadi. Read famous Poem Dhup Chhanw Zehnon Ka Aasra Nahin Rakhte for youth and Student by Anjum Azimabadi. Free Download Dhup Chhanw Zehnon Ka Aasra Nahin Rakhte in PDF.