Ek Sauda Hai Lazzat-e-gham Hai

ek sauda hai lazzat-e-gham hai

aaj phir meri aankh pur-nam hai

dil ko bahla rahe hain muddat se

zindagi kya azab se kam hai

zarra zarra udas hai us ka

mere ghar ka ajib aalam hai

mehr-o-mah par kamand paDti hai

soch mein koi ibn-e-adam hai

tujh se parda nahin mere gham ka

tu meri zindagi ka mahram hai

ye jo ek eatibar hai tum par

kis qadar paedar-o-muhkam hai

kal to duniya badal hi jaegi

aaj un ka ye jaur-e-paiham hai

dil na kaba hai ne kalisa hai

tera ghar hai harim-e-mariyam hai

(1028) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Sauda Hai Lazzat-e-gham Hai In English By Famous Poet Anjum Azmi. Ek Sauda Hai Lazzat-e-gham Hai is written by Anjum Azmi. Read famous Poem Ek Sauda Hai Lazzat-e-gham Hai for youth and Student by Anjum Azmi. Free Download Ek Sauda Hai Lazzat-e-gham Hai in PDF.