Aalam-e-wahshat-e-tanhai Hai Kuchh Aur Nahin

aalam-e-wahshat-e-tanhai hai kuchh aur nahin

sar pe ek gumbad-e-minai hai kuchh aur nahin

kyun hua mujh ko inayat ki nazar ka sauda

aaj ruswai hi ruswai hai kuchh aur nahin

apna ghar phunk chuka apna watan chhoD chuka

ye faqat baadiya-paimai hai kuchh aur nahin

ho sake to koi farda ki bana lo taswir

waqt jalwon ka tamannai hai kuchh aur nahin

aao KHush ho ke piyo kuchh na kaho waiz ko

mai-kade mein wo tamashai hai kuchh aur nahin

(1175) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aalam-e-wahshat-e-tanhai Hai Kuchh Aur Nahin In English By Famous Poet Anjum Azmi. Aalam-e-wahshat-e-tanhai Hai Kuchh Aur Nahin is written by Anjum Azmi. Read famous Poem Aalam-e-wahshat-e-tanhai Hai Kuchh Aur Nahin for youth and Student by Anjum Azmi. Free Download Aalam-e-wahshat-e-tanhai Hai Kuchh Aur Nahin in PDF.