Wada Hai Ki Jab Roz-e-jaza Aaega

wada hai ki jab roz-e-jaza aaega

tu apne hi jalwon mein ghira aaega

ta-hashr yunhi muntazir-e-did rahun

chupke se kabhi aa ke bata, aaega

main nama-e-amal khula rakkhunga

rahmat ko teri josh siwa aaega

hasrat-e-gah-e-alam mein tamanna ka qadam

illa ki taraf surat-e-la aaega

KHali bhi to kar KHana-e-dil duniya se

is ghar mein meri jaan KHuda aaega

dariya mein bahut lahr hain KHwabida abhi

jagengi to tufan baDa aaega

mahfil mein sabhi dost nahin aate hain

dushman bhi koi dost-numa aaega

ab tab na launga ye andesha hai

manzar jo koi hosh-ruba aaega

niklo bhi kabhi sud-o-ziyan se warna

kuche mein tere kaun bhala aaega

(716) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wada Hai Ki Jab Roz-e-jaza Aaega In English By Famous Poet Anjum Azmi. Wada Hai Ki Jab Roz-e-jaza Aaega is written by Anjum Azmi. Read famous Poem Wada Hai Ki Jab Roz-e-jaza Aaega for youth and Student by Anjum Azmi. Free Download Wada Hai Ki Jab Roz-e-jaza Aaega in PDF.