Meri Duniya Mein Abhi Raqs-e-sharar Hota Hai

meri duniya mein abhi raqs-e-sharar hota hai

jo bhi hota hai ba-andaz-e-digar hota hai

bhul jate hain tere chahne wale tujh ko

is qadar saKHt ye hasti ka safar hota hai

ab na wo josh-e-wafa hai na wo andaz-e-talab

ab bhi lekin tere kuche se guzar hota hai

dil mein arman the kya ahd-e-bahaaran ke liye

chaak-e-gul dekh ke ab chaak-e-jigar hota hai

hum to hanste bhi hain ji jaan se jaane ke liye

tum jo rote ho to aansu bhi guhar hota hai

sainkaDon zaKHm use milte hain is duniya se

koi dil tera talabgar agar hota hai

qafila luTta hai jis waqt sar-e-rahguzar

us ghaDi qafila-salar kidhar hota hai

'anjum'-e-soKHta-jaan ko hai KHushi ki ummid

raat mein jaise kabhi rang-e-sahar hota hai

(871) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Duniya Mein Abhi Raqs-e-sharar Hota Hai In English By Famous Poet Anjum Azmi. Meri Duniya Mein Abhi Raqs-e-sharar Hota Hai is written by Anjum Azmi. Read famous Poem Meri Duniya Mein Abhi Raqs-e-sharar Hota Hai for youth and Student by Anjum Azmi. Free Download Meri Duniya Mein Abhi Raqs-e-sharar Hota Hai in PDF.