Jo Shab Bhar Aansuon Se Tar Rahega

jo shab bhar aansuon se tar rahega

sahar dam daman-e-dil bhar rahega

ilaj us ka guzar jaana hai jaan se

guzar jaane ka jaan se Dar rahega

hua mushkil tere aashiq ka jina

tere kuche mein aa kar mar rahega

dil-e-wahshi ne kab aaram paya

sitam ki aag mein jal kar rahega

hayat-e-jawedan ho ya ki duniya

tera banda tere dar par rahega

na ho isyan to kaisa hashr ka din

kahan phir dawar-e-mahshar rahega

haqaeq se jo dil uljha hua hai

wahi KHwabon ka surat-gar rahega

koi to KHair ka pahlu bhi nikle

akela kis tarah ye shar rahega

na bazm-e-mai-kada baqi rahegi

na dast-e-shauq mein saghar rahega

jo din hai aane wala be-aman hai

qadam ghar se agar bahar rahega

koi to aazmi-sahib ko samjhao

ye gosha shahr se behtar rahega

(663) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Shab Bhar Aansuon Se Tar Rahega In English By Famous Poet Anjum Azmi. Jo Shab Bhar Aansuon Se Tar Rahega is written by Anjum Azmi. Read famous Poem Jo Shab Bhar Aansuon Se Tar Rahega for youth and Student by Anjum Azmi. Free Download Jo Shab Bhar Aansuon Se Tar Rahega in PDF.