Humse Kya KHak Ke Zarron Hi Se Puchha Hota

hum se kya KHak ke zarron hi se puchha hota

zindagi ek tamasha hai to dekha hota

dekhte gar hamin aalam ko ba-andaz-e-digar

aur hi dasht-e-junun mein dil-e-ruswa hota

kya kiya ahl-e-mohabbat ne magar tere liye

hum ne ek sahn-e-chaman aur bhi DhunDa hota

tum bhi hote mai-o-naghma bhi dil-e-shaida bhi

aur aise mein agar abr barasta hota

hans ke ek jam pilata koi diwane ko

pyar to hota magar kahe ko sauda hota

tazkire hote rahe chaak garebanon ke

han teri bazm-e-tarab mein koi aisa hota

tishna-lab kaun hai go jam na aaya hum tak

daur ek aur chala KHun-e-jigar kya hota

KHak ne kitne bad-atwar kiye hain paida

ye na hote to usi KHak se kya kya hota

is se milna hi ghazab ho gaya warna 'anjum'

dar-ba-dar phirne ka jhagDa bhi na uTTha hota

(845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humse Kya KHak Ke Zarron Hi Se Puchha Hota In English By Famous Poet Anjum Azmi. Humse Kya KHak Ke Zarron Hi Se Puchha Hota is written by Anjum Azmi. Read famous Poem Humse Kya KHak Ke Zarron Hi Se Puchha Hota for youth and Student by Anjum Azmi. Free Download Humse Kya KHak Ke Zarron Hi Se Puchha Hota in PDF.