Dilon Se KHauf Ke Aaseb-o-jin Nikalta Hai

dilon se KHauf ke aaseb-o-jin nikalta hai

wahi charagh jalata hai din nikalta hai

ajib tesha hai mazdur ka pasina bhi

pahaD kaT ke rasta kaThin nikalta hai

ye baadshah nahin hai faqir hai suraj

hamesha raat ki jholi se din nikalta hai

zara si der mein koi gulab toDega

jo apne coat ke collar se pin nikalta hai

usi ke nam se mansub hai ghazal apni

jo nam phul khilata hai din nikalta hai

(683) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dilon Se KHauf Ke Aaseb-o-jin Nikalta Hai In English By Famous Poet Anjum Barabankvi. Dilon Se KHauf Ke Aaseb-o-jin Nikalta Hai is written by Anjum Barabankvi. Read famous Poem Dilon Se KHauf Ke Aaseb-o-jin Nikalta Hai for youth and Student by Anjum Barabankvi. Free Download Dilon Se KHauf Ke Aaseb-o-jin Nikalta Hai in PDF.