Wo Jis Ke Nam Mein Lazzat Bahut Hai

wo jis ke nam mein lazzat bahut hai

usi ke zikr se barakat bahut hai

zara mahfuz raston se guzarna

tumhaari shahr mein shohrat bahut hai

abhi suraj ne lab khole nahin hain

abhi se dhup mein shiddat bahut hai

mujhe sone ki qimat mat batao

main miTTi hun meri azmat bahut hai

kisi ki yaad mein khoe rahenge

gunah-garon ko ye jannat bahut hai

jinhen masruf rahne ka maraz tha

unhen bhi aaj-kal fursat bahut hai

jahan par KHushbuen thin zindagi ki

usi mahfil mein ab ghibat bahut hai

kabhi to husn ka sadqa nikalo

tumhaare pas ye daulat bahut hai

ghazal KHud kah ke paDhna chahte ho

miyan is kaam mein mehnat bahut hai

hawa to tham chuki lekin diyon ke

rawayyon mein abhi dahshat bahut hai

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Jis Ke Nam Mein Lazzat Bahut Hai In English By Famous Poet Anjum Barabankvi. Wo Jis Ke Nam Mein Lazzat Bahut Hai is written by Anjum Barabankvi. Read famous Poem Wo Jis Ke Nam Mein Lazzat Bahut Hai for youth and Student by Anjum Barabankvi. Free Download Wo Jis Ke Nam Mein Lazzat Bahut Hai in PDF.