Zanjir To Pairon Se Thakan Bandhe Hue Hai

zanjir to pairon se thakan bandhe hue hai

diwana magar sar se kafan bandhe hue hai

KHushbu ke bikharne mein zara der lagegi

mausam abhi phulon ke badan bandhe hue hai

dastar mein taus ke par bandhne wala

gardan mein masail ki rasan bandhe hue hai

shayad kisi majzub-e-mohabbat ko KHabar ho

kis sehr se dharti ko gagan bandhe hue hai

mearaj-e-aqidat hai ki tawiz ki surat

bazu pe koi KHak-e-watan bandhe hue hai

suraj ne andheron ki nazar bandh ke puchha

ab kaun ujalon ka suKHan bandhe hue hai

(877) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zanjir To Pairon Se Thakan Bandhe Hue Hai In English By Famous Poet Anjum Barabankvi. Zanjir To Pairon Se Thakan Bandhe Hue Hai is written by Anjum Barabankvi. Read famous Poem Zanjir To Pairon Se Thakan Bandhe Hue Hai for youth and Student by Anjum Barabankvi. Free Download Zanjir To Pairon Se Thakan Bandhe Hue Hai in PDF.