Dhup Aati Nahin RuKH Apna Badal Kar Dekhen

dhup aati nahin ruKH apna badal kar dekhen

chaDhte suraj ki taraf hum bhi to chal kar dekhen

baat kuchh hogi yaqinan jo ye hote hain nisar

hum bhi ek roz kisi shama pe jal kar dekhen

sahib-e-jubba-o-dastar se kah de koi

is bulandi pe wo dekhen to sambhal kar dekhen

kya ajab hai ki ye muTThi mein hamari aa jae

aasman ki taraf ek bar uchhal kar dekhen

dagh daman pe kisi ke na koi hath hi tar

kyun na chehre pe lahu apna hi mal kar dekhen

kis tarah samt-e-muKHalif mein safar karte hain hum

bahte dhaare se kabhi aap nikal kar dekhen

KHak mein mil ke fana honge jo moti hain yahan

jab bhi ji chahe ye aankhon se ubal kar dekhen

yak-ba-yak jaan se guzarna to hai aasan 'anjum'

qatra qatra kai qiston mein pighal kar dekhen

(753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhup Aati Nahin RuKH Apna Badal Kar Dekhen In English By Famous Poet Anjum Irfani. Dhup Aati Nahin RuKH Apna Badal Kar Dekhen is written by Anjum Irfani. Read famous Poem Dhup Aati Nahin RuKH Apna Badal Kar Dekhen for youth and Student by Anjum Irfani. Free Download Dhup Aati Nahin RuKH Apna Badal Kar Dekhen in PDF.