Raqs-e-junun Ki Garmi-e-tasir Dekhna

raqs-e-junun ki garmi-e-tasir dekhna

khulta hai kaise halqa-e-zanjir dekhna

ghis ghis ke pattharon ko banaya hai aaina

dekhen wo KHwab hum ko hai tabir dekhna

harbe sab un ke un ko hi lauTa diye gae

hairat se ban gae hain wo taswir dekhna

likh di zaban-e-zaKHm mein rudad-e-zindagi

jismon pe us ki shoKHi-e-tahrir dekhna

ab to wajud-e-maqtal-o-zindan pe aa bani

ab beDiyan na tauq na zanjir dekhna

dekhe hain baiThe baiThe muqaddar ke tum ne khel

uTh kar zara karishma-e-tadbir dekhna

qasr-e-hayat-e-nau ki hai barud par bina

'anjum' ye paedari-e-tamir dekhna

(876) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raqs-e-junun Ki Garmi-e-tasir Dekhna In English By Famous Poet Anjum Irfani. Raqs-e-junun Ki Garmi-e-tasir Dekhna is written by Anjum Irfani. Read famous Poem Raqs-e-junun Ki Garmi-e-tasir Dekhna for youth and Student by Anjum Irfani. Free Download Raqs-e-junun Ki Garmi-e-tasir Dekhna in PDF.