Badal Chuke Hain Sab Agli Riwayaton Ke Nisab

badal chuke hain sab agli riwayaton ke nisab

jo the sawab-o-gunah ho gae gunah-o-sawab

numu ke bab mein wo bebasi ka aalam hai

bahaar mang rahi hai KHizan ruton se gulab

badal ke jam bhi hum to rahe KHasare mein

hamare pas lahu tha tumhaare pas sharab

mere kahe ko amanat samajhna mauj-e-hawa

main aane wale zamanon se kar raha hun KHitab

so meri pyas ka donon taraf ilaj nahin

udhar hai ek samundar idhar hai ek sarab

KHud aagahi ka saliqa sikha gaya 'anjum'

mere KHilaf mere doston ka istiswab

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badal Chuke Hain Sab Agli Riwayaton Ke Nisab In English By Famous Poet Anjum Khaleeq. Badal Chuke Hain Sab Agli Riwayaton Ke Nisab is written by Anjum Khaleeq. Read famous Poem Badal Chuke Hain Sab Agli Riwayaton Ke Nisab for youth and Student by Anjum Khaleeq. Free Download Badal Chuke Hain Sab Agli Riwayaton Ke Nisab in PDF.