Ba-faiz-e-agahi Ye Kya Azab Dekh Liya

ba-faiz-e-agahi ye kya azab dekh liya

ki KHud hi apne kiye ka hisab dekh liya

ye nasl nasl masafat bahal rahi hai yunhi

sarab jagte sote mein KHwab dekh liya

dilon ki tirgi dhone ko log uThe hain jab

chhaton par utra hua aaftab dekh liya

saron se taj baDe jism se abaen baDi

zamane hum ne tera intiKHab dekh liya

wo faKHta jise lana tha amn ka paigham

uDi nahin thi ki us ne uqab dekh liya

kabhi wo khul ke kabhi sarsari mila hum se

kabhi hilal kabhi mahtab dekh liya

kitab paDhne ki fursat yahan kise 'anjum'

bahut hua to faqat intisab dekh liya

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ba-faiz-e-agahi Ye Kya Azab Dekh Liya In English By Famous Poet Anjum Khaleeq. Ba-faiz-e-agahi Ye Kya Azab Dekh Liya is written by Anjum Khaleeq. Read famous Poem Ba-faiz-e-agahi Ye Kya Azab Dekh Liya for youth and Student by Anjum Khaleeq. Free Download Ba-faiz-e-agahi Ye Kya Azab Dekh Liya in PDF.