Bite Hue Lamhat Ko Pahchan Mein Rakhna

bite hue lamhat ko pahchan mein rakhna

murjhae hue phul bhi gul-dan mein rakhna

kya jaanen safar KHair se guzre ki na guzre

tum ghar ka pata bhi mere saman mein rakhna

kya din the mujhe shauq se mehman bulana

aur KHud ko magar KHidmat-e-mehman mein rakhna

kya waqt tha kya waqt hai is soch se hasil

chhoDo jo hua kya use mizan mein rakhna

insan ki niyyat ka bharosa nahin koi

milte ho to is baat ko imkan mein rakhna

pursish hai bahut saKHt wahan fard-e-amal ki

kuchh nat ke ashaar bhi diwan mein rakhna

muKHlis ho raho Toka hai kis ne tumhein 'anjum'

raftar-e-zamana bhi magar dhyan mein rakhna

(738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bite Hue Lamhat Ko Pahchan Mein Rakhna In English By Famous Poet Anjum Khaleeq. Bite Hue Lamhat Ko Pahchan Mein Rakhna is written by Anjum Khaleeq. Read famous Poem Bite Hue Lamhat Ko Pahchan Mein Rakhna for youth and Student by Anjum Khaleeq. Free Download Bite Hue Lamhat Ko Pahchan Mein Rakhna in PDF.