Hum Apne Zauq-e-safar Ko Safar Sitara Karen

hum apne zauq-e-safar ko safar sitara karen

na koi zaicha khinchen na istiKHara karen

usi se lafz bane man bhi ek hai jin mein

to kaise harf ki be-hurmati gawara karen

usi sharar ko jo ek ahd-e-yas ne baKHsha

kabhi diya kabhi jugnu kabhi sitara karen

shuur-e-sher ne wo aankh khol di dil mein

ki ab to hum pas-e-imkan bhi nazara karen

firaq-rut mein bhi kuchh lazzaten visal ki hain

KHayal hi mein tere KHal-o-KHad ubhaara karen

ilahi khol de hum par dar-e-madina-e-ilm

ali ali isi ummid par pukara karen

asa nahin na sahi hum faqir log magar

hon mauj mein to talatum ko hi kinara karen

KHuda ka shukr hai sab zar-pasand jah-talab

hamari sohbat-e-be-faiz se kinara karen

mile jo waqt to 'anjum' ba-surat-e-diwan

murattab apni riyazat ka goshwara karen

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Apne Zauq-e-safar Ko Safar Sitara Karen In English By Famous Poet Anjum Khaleeq. Hum Apne Zauq-e-safar Ko Safar Sitara Karen is written by Anjum Khaleeq. Read famous Poem Hum Apne Zauq-e-safar Ko Safar Sitara Karen for youth and Student by Anjum Khaleeq. Free Download Hum Apne Zauq-e-safar Ko Safar Sitara Karen in PDF.