Har Sher Se Mere Tera Paikar Nikal Aae

har sher se mere tera paikar nikal aae

manzar ko haTa kar pas-e-manzar nikal aae

ye kaun nikal aaya yahan sair-e-chaman ko

shaKHon se mahakte hue zewar nikal aae

is bar bulawe mein kisi mah-jabin ke

wo zor-talab tha ki mere par nikal aae

ye wasl sikandar ke muqaddar mein nahin tha

hum kaise muqaddar ke sikandar nikal aae

shab aai to zulmat ki mazammat mein sitare

diwar-e-falak toD ke bahar nikal aae

us baat ka aandhi ko guman bhi nahin hoga

lo ek thi fanus bahattar nikal aae

ilham ka mausam utar aata hai zamin par

basti mein agar ek suKHnawar nikal aae

un sang-zanon mein koi apna bhi tha shayad

jo Dher se ye qimti patthar nikal aae

pindar-e-hunar zauq-e-nazar shiddat-e-iKHlas

duniya ke muqabil mere lashkar nikal aae

kuchh soch ke ummid-e-wafa bandhte 'anjum'

chashme ki jagah kaise samundar nikal aae

(938) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Sher Se Mere Tera Paikar Nikal Aae In English By Famous Poet Anjum Khaleeq. Har Sher Se Mere Tera Paikar Nikal Aae is written by Anjum Khaleeq. Read famous Poem Har Sher Se Mere Tera Paikar Nikal Aae for youth and Student by Anjum Khaleeq. Free Download Har Sher Se Mere Tera Paikar Nikal Aae in PDF.