Dastar-e-hunar BaKHshish-e-darbar Nahin Hai

dastar-e-hunar baKHshish-e-darbar nahin hai

sad shukr ki shanon pe ye sar bar nahin hai

ab to ye makan qatl-gahen banne lage hain

achchha hai wo jis ka koi ghar-bar nahin hai

tahris-o-saza se nahin badlenge ye bayan hum

ek bar nahin jab hai to har bar nahin hai

har ek pe khul jae bila farq maraatib

aisa ho to dahliz pe darbar nahin hai

aa jae tawazun mein ye mahaul ki mizan

insaf ke palDe mein magar bar nahin hai

zulmat se nikal aaen chamakte hue raste

par mashal-e-ehsas sharar-bar nahin hai

hath aaega kya sahil-e-lab se hamein 'anjum'

jab dil ka samundar hi guhar-bar nahin hai

(747) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dastar-e-hunar BaKHshish-e-darbar Nahin Hai In English By Famous Poet Anjum Khaleeq. Dastar-e-hunar BaKHshish-e-darbar Nahin Hai is written by Anjum Khaleeq. Read famous Poem Dastar-e-hunar BaKHshish-e-darbar Nahin Hai for youth and Student by Anjum Khaleeq. Free Download Dastar-e-hunar BaKHshish-e-darbar Nahin Hai in PDF.