Palkon Tak Aa Ke Ashk Ka Sailab Rah Gaya

palkon tak aa ke ashk ka sailab rah gaya

dariya darun-e-halqa-e-girdab rah gaya

ye kaun hai ki jis ko ubhaare hue hai mauj

wo shaKHs kaun tha jo tah-e-ab rah gaya

naKHl-e-ana mein zor-e-numu kis ghazab ka tha

ye peD to KHizan mein bhi shadab rah gaya

kya shahr par khuli hi nahin aayat-e-KHulus

kya ek main hi waqif-e-adab rah gaya

kuchh zikr-e-yar jis mein tha kuchh zikr-e-wasl-e-yar

tadwin-e-zindagi mein wahi bab rah gaya

jo shai yahan ki thi wo yahin chhoD di magar

aankhon ke bich ek tera KHwab rah gaya

dekha jo phir se jaanib-e-dariya rawan mujhe

bal kha ke apne aap mein girdab rah gaya

'anjum' teri zamin abhi kitni dur hai

koson-pare to qariya-e-mahtab rah gaya

(838) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Palkon Tak Aa Ke Ashk Ka Sailab Rah Gaya In English By Famous Poet Anjum Khaleeq. Palkon Tak Aa Ke Ashk Ka Sailab Rah Gaya is written by Anjum Khaleeq. Read famous Poem Palkon Tak Aa Ke Ashk Ka Sailab Rah Gaya for youth and Student by Anjum Khaleeq. Free Download Palkon Tak Aa Ke Ashk Ka Sailab Rah Gaya in PDF.