Tahayyur Hai Bala Ka Ye Pareshani Nahin Jati

tahayyur hai bala ka ye pareshani nahin jati

ki tan dhakne pe bhi jismon ki uryani nahin jati

yahan ahd-e-hukumat ijz ka kis taur aaega

ki taj-o-taKHt ki fitrat se sultani nahin jati

bujhe suraj pe bhi aangan mera raushan hi rahta hai

dahakte hon agar jazbe to tabani nahin jati

muqaddar kar le apni si hum apni kar guzarte hain

muqaddar se ab aise haar bhi mani nahin jati

agar aata hun sahil par to aandhi gher leti hai

samundar mein utarta hun to tughyani nahin jati

ye kaise khurdure mausam guzar aaya hun main 'anjum'

ki KHud mujh se hi meri shakl pahchani nahin jati

(708) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tahayyur Hai Bala Ka Ye Pareshani Nahin Jati In English By Famous Poet Anjum Khaleeq. Tahayyur Hai Bala Ka Ye Pareshani Nahin Jati is written by Anjum Khaleeq. Read famous Poem Tahayyur Hai Bala Ka Ye Pareshani Nahin Jati for youth and Student by Anjum Khaleeq. Free Download Tahayyur Hai Bala Ka Ye Pareshani Nahin Jati in PDF.