Yahan Jo ZaKHm Milte Hain Wo Silte Hain Yahin Mere

yahan jo zaKHm milte hain wo silte hain yahin mere

tumhaare shahr ke sab log to dushman nahin mere

talash-e-ahd-e-rafta mein ajaib-ghar bhi dekhe hain

wahan bhi sab hawale hain kahin tere kahin mere

zara si main ne tarjihat ki tartib badli thi

ki aapas mein ulajh kar rah gae duniya o din mere

falak had hai ki sarhad hai zamin madan hai ya madfan

mujhe bechain hi rakhte hain ye wahm o yaqin mere

main tere zulm kaise hashr tak sahta chala jaun

bas ab to faisle honge yahin tere yahin mere

achanak kis tarah aaKHir ye duniya chhoD sakta hun

KHazane ja-ba-ja madfun hain zer-e-zamin mere

to jab mere kiye par hai mera anjam phir anjam

ye mazi haal mustaqbil to hain zer-e-nagin mere

(812) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahan Jo ZaKHm Milte Hain Wo Silte Hain Yahin Mere In English By Famous Poet Anjum Khaleeq. Yahan Jo ZaKHm Milte Hain Wo Silte Hain Yahin Mere is written by Anjum Khaleeq. Read famous Poem Yahan Jo ZaKHm Milte Hain Wo Silte Hain Yahin Mere for youth and Student by Anjum Khaleeq. Free Download Yahan Jo ZaKHm Milte Hain Wo Silte Hain Yahin Mere in PDF.