Ye Kaisi Baat Mera Mehrban Bhul Gaya

ye kaisi baat mera mehrban bhul gaya

kumak mein tir to bheje kaman bhul gaya

junun ne mujh se taaruf ke marhale mein kaha

main wo hunar hun jise ye jahan bhul gaya

kuchh is tapak se rahen lipaT paDin mujh se

ki main to samt-e-safar ka nishan bhul gaya

KHumar-e-qurbat-e-manzil tha na-rasi ka jawaz

gali mein aa ke main us ka makan bhul gaya

har ek badalti hui rut mein yaad aata hai

wo shaKHs jo mera nam-o-nishan bhul gaya

kuchh aisi baat kabutar ki aankh mein dekhi

uqab KHauf ke mare uDan bhul gaya

main sar-ba-kaf sar-e-maqtal kuchh is ada se gaya

ki mera dushman-e-jaan aan-ban bhul gaya

qabail aaj bhi shir-o-shakar nazar aate

KHatib-e-shahr magar wo zaban bhul gaya

zamin ki god mein itna sukun tha 'anjum'

ki jo gaya wo safar ki thakan bhul gaya

(675) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kaisi Baat Mera Mehrban Bhul Gaya In English By Famous Poet Anjum Khaleeq. Ye Kaisi Baat Mera Mehrban Bhul Gaya is written by Anjum Khaleeq. Read famous Poem Ye Kaisi Baat Mera Mehrban Bhul Gaya for youth and Student by Anjum Khaleeq. Free Download Ye Kaisi Baat Mera Mehrban Bhul Gaya in PDF.