Chand Hum Donon Se Mushabah Hai

guzishta raat pure chand ki shab thi

pas-e-dahliz tum thin

aur main na-KHwasta qadmon se bahar ki taraf jate hue aankhon hi aankhon mein

tumhein KHud mein samota ja raha tha

bhala kab tak ye manzar sath deta!

'KHuda-hafiz' ke lamhe baad darwaza muqaffal ho chuka tha

aur aankhon ki rasai se tumhaara jagmagata husn ojhal ho chuka tha

(magar main band darwaze ki jaanib dekhna bhi ishq ke aadab ka hissa samajhta hun)

udhar kamre ki chhat ke ain-upar, aasman par

chaudhwin ka chand raushan tha

tumhaari hi shabahat thi

mujhe to yun laga jaise falak par bhi tumhaara husn hi mahtab ban kar jagmagata hai

magar phir yun laga jaise ki ye mahtab ek chehra nahin ek aankh hai jis mein

kisi ko dekhte rahne ki KHwahish jhilmilati hai

to ye jaana ki us kamre ki chhat ke ain-upar, aasman par

main ne apni aankh rakh di

(856) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Hum Donon Se Mushabah Hai In English By Famous Poet Anjum Khaleeq. Chand Hum Donon Se Mushabah Hai is written by Anjum Khaleeq. Read famous Poem Chand Hum Donon Se Mushabah Hai for youth and Student by Anjum Khaleeq. Free Download Chand Hum Donon Se Mushabah Hai in PDF.