Jaan Se Kaise Jaya Jata Hai

jaan se kaise jaya jata hai

ye hunar kya sikhaya jata hai

bol kar boliyan parindon ki

in ko ghere mein laya jata hai

baz wade kiye nahin jate

phir bhi un ko nibhaya jata hai

main na jaun kahin to phir dekhun

kis tarah mera saya jata hai

subh ke baad bhi jo raushan hon

in diyon ko bujhaya jata hai

(729) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Jaan Se Kaise Jaya Jata Hai In English By Famous Poet Anjum Khayali. Jaan Se Kaise Jaya Jata Hai is written by Anjum Khayali. Read famous Poem Jaan Se Kaise Jaya Jata Hai for youth and Student by Anjum Khayali. Free Download Jaan Se Kaise Jaya Jata Hai in PDF.