Jaane Kis Ki AahaT Ka Intizar Karta Hai

jaane kis ki aahaT ka intizar karta hai

TuT to chuka hai wo dekho kab bikharta hai

zaKHm chahe jaisa ho ek din to bharta hai

aap soe hote hain waqt kaam karta hai

roz chhup ke takta hai pyasi pyasi nazron se

us ke ghar ke aage se dariya jab guzarta hai

dil ka kya karun yaro manta nahin meri

apne dil ki sunta hai apne man ki karta hai

dil bujha bujha ho to kya bura hai rone mein

barishon ke baad anjum aasman nikharta hai

(882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaane Kis Ki AahaT Ka Intizar Karta Hai In English By Famous Poet Anjum Ludhianvi. Jaane Kis Ki AahaT Ka Intizar Karta Hai is written by Anjum Ludhianvi. Read famous Poem Jaane Kis Ki AahaT Ka Intizar Karta Hai for youth and Student by Anjum Ludhianvi. Free Download Jaane Kis Ki AahaT Ka Intizar Karta Hai in PDF.