Adu To Kya Ye Falak Bhi Use Sata Na Saka

adu to kya ye falak bhi use sata na saka

KHushi hansa na saki gham jise rula na saka

na puchh us ki dil-afsurdagi ki kaifiyyat

jo gham-nasib KHushi mein bhi muskura na saka

wo puchh baiThe yakayak jo wajh-e-be-tabi

khuja ke rah gaya sar baat kuchh bana na saka

wo dekh len na kahin meri chashm-e-pur-nam ko

gaya to milne ko aankhen magar mila na saka

ye do-dili mein raha ghar na ghaT ka 'anjum'

buton ko kar na saka KHush KHuda ko pa na saka

(916) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Adu To Kya Ye Falak Bhi Use Sata Na Saka In English By Famous Poet Anjum Manpuri. Adu To Kya Ye Falak Bhi Use Sata Na Saka is written by Anjum Manpuri. Read famous Poem Adu To Kya Ye Falak Bhi Use Sata Na Saka for youth and Student by Anjum Manpuri. Free Download Adu To Kya Ye Falak Bhi Use Sata Na Saka in PDF.