Dil Bhar Aaya Phir Bhi Raaz-e-dil Chhupana Hi PaDa

dil bhar aaya phir bhi raaz-e-dil chhupana hi paDa

samne us bad-guman ke muskurana hi paDa

wo jo ruThe main ne bhi kha li na milne ki qasam

phir na dil mana to KHud ja kar manana hi paDa

uf ri majburi mizaj-e-yar mein ho kar daKHil

raazdan KHud apne dushman ko banana hi paDa

mujh ko fasl-e-gul mein tewar dekh kar sayyaad ke

aashiyana chhoD kar gulshan se jaana hi paDa

zabt ka yara nahin sayyaad ka bhi hai KHayal

nala-e-dil-soz ko naghma banana hi paDa

rokte kab tak taqaza-e-talafi-e-sitam

sar jhukae sharm se mayyat pe aana hi paDa

aaj 'anjum' muskura kar us ne phir dekha mujhe

shikwa-e-jaur-o-jafa phir bhul jaana hi paDa

(1065) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Bhar Aaya Phir Bhi Raaz-e-dil Chhupana Hi PaDa In English By Famous Poet Anjum Manpuri. Dil Bhar Aaya Phir Bhi Raaz-e-dil Chhupana Hi PaDa is written by Anjum Manpuri. Read famous Poem Dil Bhar Aaya Phir Bhi Raaz-e-dil Chhupana Hi PaDa for youth and Student by Anjum Manpuri. Free Download Dil Bhar Aaya Phir Bhi Raaz-e-dil Chhupana Hi PaDa in PDF.