Waiz Ki KaDwi Baaton Ko Kab Dhyan Mein Apne Late Hain

waiz ki kaDwi baaton ko kab dhyan mein apne late hain

ye rind-e-bala-nosh aise hain sunte hain aur pi jate hain

hum aap se jo kuchh kahte hain wo bilkul jhuT ghalat ek dam

aur aap jo kuchh farmate hain be-shubah baja farmate hain

diwana samajh kar chheD ke wo sunte hain hamari baaton ko

hum matlab ki kah jate hain wo soch ke kuchh rah jate hain

majbur-e-mohabbat ki haalat begana-e-ulfat kya jaane

hum ghairon ke tane sunte hain aur sun kar chup rah jate hain

gardan hai jhuki nazren nichi aur lab pe hai un ke tabassum bhi

hai qabil-e-did wo shoKHi bhi jis waqt ki wo sharmate hain

behosh paDe hain ishq mein aur sar hai kisi ke zanu par

tadbiren lakh kare koi ab hosh mein hum kab aate hain

kaam 'anjum' ka jo tamam kiya ye aap ne waqai KHub kiya

kam-baKHt isi ke laeq tha ab aap abas pachhtate hain

(677) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waiz Ki KaDwi Baaton Ko Kab Dhyan Mein Apne Late Hain In English By Famous Poet Anjum Manpuri. Waiz Ki KaDwi Baaton Ko Kab Dhyan Mein Apne Late Hain is written by Anjum Manpuri. Read famous Poem Waiz Ki KaDwi Baaton Ko Kab Dhyan Mein Apne Late Hain for youth and Student by Anjum Manpuri. Free Download Waiz Ki KaDwi Baaton Ko Kab Dhyan Mein Apne Late Hain in PDF.