Jahan Tak Gaya Karwan-e-KHayal

jahan tak gaya karwan-e-KHayal

na tha kuchh ba-juz hasrat-e-paemal

mujhe tera tujh ko hai mera KHayal

magar zindagi phir bhi hai KHasta-haal

jahan tak hai dair o haram ka sawal

rahen chup to mushkil kahen to muhaal

teri kaenat ek hairat-kada

shanasa magar ajnabi KHadd-o-KHal

meri kaenat ek zaKHm-e-kuhan

muqaddar mein jis ke nahin indimal

nai zindagi ke nae makr o fan

nae aadmi ki nai chaal-Dhaal

hue ruKHsat anjum sahar ke qarib

na dekha gaya shayad apna maal

(814) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan Tak Gaya Karwan-e-KHayal In English By Famous Poet Anjum Rumani. Jahan Tak Gaya Karwan-e-KHayal is written by Anjum Rumani. Read famous Poem Jahan Tak Gaya Karwan-e-KHayal for youth and Student by Anjum Rumani. Free Download Jahan Tak Gaya Karwan-e-KHayal in PDF.