Nahin Nam-o-nishan Sae Ka Lekin Yar BaiThe Hain

nahin nam-o-nishan sae ka lekin yar baiThe hain

uge shayad zamin se KHud-ba-KHud diwar baiThe hain

sawar-e-kashti-e-amwaj-e-dil hain aur ghafil hain

samajhte hain ki hum dariya-e-gham ke par baiThe hain

ujaD aisi na thi duniya abhi kal tak ye aalam tha

yahan do-chaar baiThe hain wahan do-chaar baiThe hain

phir aati hai isi sahra se aawaz-e-jaras mujh ko

jahan majnun se diwane bhi himmat haar baiThe hain

samajhte ho jinhen tum sang-e-mil ai qafile walo

sar-e-rah KHastgan-e-hasrat-raftar baiThe hain

ye jitne masale hain mashghale hain sab faraghat ke

na tum be-kar baiThe ho na hum be-kar baiThe hain

tumhein 'anjum' koi us se tawaqqo ho to ho warna

yahan to aadmi ki shakl se be-zar baiThe hain

(827) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Nam-o-nishan Sae Ka Lekin Yar BaiThe Hain In English By Famous Poet Anjum Rumani. Nahin Nam-o-nishan Sae Ka Lekin Yar BaiThe Hain is written by Anjum Rumani. Read famous Poem Nahin Nam-o-nishan Sae Ka Lekin Yar BaiThe Hain for youth and Student by Anjum Rumani. Free Download Nahin Nam-o-nishan Sae Ka Lekin Yar BaiThe Hain in PDF.