Ek Qadim KHayali Ki Nigrani Mein

zamane ki maili aankh ne

mujhe dhundla diya

dusron par gaDhte gaDhte

mujhe apni tashwish hui

bahut dinon se bujha paDa tha

jab do dimaghon ki ham-ahangi ne

mujhe raushan aur rawan kar diya

man

main ne KHud ko sahil par machhli ki aankh se dekha

uf! sab kuchh kitna sathi hai!

sahil Dubne se pahle pahle

main apne andar utar gaya

jahan main pahle se maujud tha

main ne KHush-gawar hairat se KHud ko chhua

kahin main koi guzri hui saat to nahin

ye jaan kar tasalli hui

ki ek qadim KHayal ki nigrani mein

main kuchh aur gahra aur chamkila ho gaya hun

aur ye bhi ki

ab main apne aar par bhi dekh sakta hun!!

(759) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Qadim KHayali Ki Nigrani Mein In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Ek Qadim KHayali Ki Nigrani Mein is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Ek Qadim KHayali Ki Nigrani Mein for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Ek Qadim KHayali Ki Nigrani Mein in PDF.