Use Yaadon Mein Jab Lana Musalsal Kar Diya Maine

use yaadon mein jab lana musalsal kar diya main ne

use wo hichkiyan aain ki pagal kar diya main ne

kitabon mein paDhe jab ek-tarfa pyar ke qisse

KHud apna dil tamannaon ka maqtal kar diya main ne

kai ghazlen paDi thin na-mukammal ek arse se

use jab aaj dekha to mukammal kar diya main ne

jo saya ham-qadam ban kar safar mein sath rahta tha

hamesha ke liye KHud se alag kal kar diya main ne

suna to KHair se aaya hun us ko dastan apni

magar un phul si aankhon ko bojhal kar diya main ne

tumhaare baal main ne khol kar mausam badal Dala

faza mein dur tak baadal hi baadal kar diya main ne

dhuan yaadon ka hi kafi tha dil kamzor karne ko

jala kar rakh kal biDi ka banDal kar diya main ne

(855) Peoples Rate This


Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544