Sitam Sahne Ki Tayyari Bhi Koi Chiz Hoti Hai

sitam sahne ki tayyari bhi koi chiz hoti hai

mohabbat mein wafadari bhi koi chiz hoti hai

bahut hum KHud-gharaz the jab mohabbat ki to ye jaana

ki apni jaan se pyari bhi koi chiz hoti hai

zaruri to nahin har baat honThon se kahi jae

nigahon ki adakari bhi koi chiz hoti hai

agar aankhon se bah jaen to ho jata hai dil halka

badan mein ashk se bhaari bhi koi chiz hoti hai

taqaze us se hum hi kyun karen har rose milne ke

hamari apni KHuddari bhi koi chiz hoti hai

hamare KHat jahan paDhte ho yun hi Dal dete ho

are kamre mein almari bhi koi chiz hoti hai

taraf-dari tumhein aati hai apne ghar ke logon ki

miyan meri taraf-dari bhi koi chiz hoti hai

ayaadat ke bahane mere ghar wo rose aate hain

mohabbat walon bimari bhi koi chiz hoti hai

(837) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitam Sahne Ki Tayyari Bhi Koi Chiz Hoti Hai In English By Famous Poet Anubhav Gupta. Sitam Sahne Ki Tayyari Bhi Koi Chiz Hoti Hai is written by Anubhav Gupta. Read famous Poem Sitam Sahne Ki Tayyari Bhi Koi Chiz Hoti Hai for youth and Student by Anubhav Gupta. Free Download Sitam Sahne Ki Tayyari Bhi Koi Chiz Hoti Hai in PDF.