Faza-e-dil Mein Ghani Tirgi Si Lagti Hai

faza-e-dil mein ghani tirgi si lagti hai

kahin kahin pe zara raushni si lagti hai

baDa ajib mohabbat ka daur hota hai

kahin pe maut kahin zindagi si lagti hai

chamakne lagti hai har chiz mere kamre ki

tumhaari yaad koi phuljhaDi si lagti hai

main sochta hun kahun kaise bewafa us ko

mujhe to apne hi andar kami si lagti hai

tumhaari yaad ko jab bhi gale lagata hun

mere badan mein koi sansani si lagti hai

koi bahut baDa tufan aane wala hai

jahan bhi dekho hawa chup khaDi si lagti hai

tumhaari soch mein main rang apne bhar na saka

ye sochta hun to sharmindagi si lagti hai

(694) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faza-e-dil Mein Ghani Tirgi Si Lagti Hai In English By Famous Poet Anubhav Gupta. Faza-e-dil Mein Ghani Tirgi Si Lagti Hai is written by Anubhav Gupta. Read famous Poem Faza-e-dil Mein Ghani Tirgi Si Lagti Hai for youth and Student by Anubhav Gupta. Free Download Faza-e-dil Mein Ghani Tirgi Si Lagti Hai in PDF.