Dil Yahi Soch Ke Betab Hua Jata Hai

dil yahi soch ke betab hua jata hai

dar-ba-dar mera har ek KHwab hua jata hai

raat-din dard ke aaghosh mein jalti sansen

ab lahu jism ka tezab hua jata hai

bahte rahte hain in aankhon se musalsal aansu

shahr-e-dil wadi-e-be-ab hua jata hai

jab bhi paDti hai khuli dhup zamin par us ki

us ka chehra koi mahtab hua jata hai

teri yaadon ki mahak aur ye halki rim-jhim

aaj bistar bhi to kam-KHwab hua jata hai

jaane kya baat hai jo aap ki qurbat pa kar

aam insan bhi nayab hua jata hai

bazm mein aap ke aane ki khabar sun sun kar

dil mera KHitta-e-shadab hua jata hai

kya karun ab main zamane se mohabbat kar ke

ye samundar bhi to payab hua jata hai

kya kahun aae dinon ganw mera fashion mein

kabhi dilli kabhi punjab hua jata hai

(833) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Yahi Soch Ke Betab Hua Jata Hai In English By Famous Poet Anubhav Gupta. Dil Yahi Soch Ke Betab Hua Jata Hai is written by Anubhav Gupta. Read famous Poem Dil Yahi Soch Ke Betab Hua Jata Hai for youth and Student by Anubhav Gupta. Free Download Dil Yahi Soch Ke Betab Hua Jata Hai in PDF.