Aao Dekhen Ahl-e-wafa Ki Hoti Hai Tauqir Kahan

aao dekhen ahl-e-wafa ki hoti hai tauqir kahan

kis mahfil ka nam hai maqtal khinchti hai shamshir kahan

chhuT na paoge dil walo chahat ke is zindan se

chaho to dil TuT bhi jaen TuTegi zanjir kahan

chashm-e-sahar mein aas umid kya aansu ki ek bund nahin

yun daman phailae chale hain raaton ke rahgir kahan

sadiyon ke pahchane KHwabon se bojhal in aankhon ko

anjaane KHwabon ke shahr mein le aai tabir kahan

ek virana ek shajar kuchh sae do pyasi aankhen

dekhen sajegi din ke makan mein raat ki ye taswir kahan

waqt ka dariya le bhi gaya wo sab jo dil-o-jaan se tha aziz

DhunDh rahe ho sahil par ab aansu ki tahrir kahan

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aao Dekhen Ahl-e-wafa Ki Hoti Hai Tauqir Kahan In English By Famous Poet Anvar Moazzam. Aao Dekhen Ahl-e-wafa Ki Hoti Hai Tauqir Kahan is written by Anvar Moazzam. Read famous Poem Aao Dekhen Ahl-e-wafa Ki Hoti Hai Tauqir Kahan for youth and Student by Anvar Moazzam. Free Download Aao Dekhen Ahl-e-wafa Ki Hoti Hai Tauqir Kahan in PDF.