Dida-e-tar Ne Ajab Jalwagari Dekhi Hai

dida-e-tar ne ajab jalwagari dekhi hai

gham ne jis shaKH ko pala wo hari dekhi hai

hae kis but ki KHudai ka bharam TuTa hai

KHalq ne aaj in aankhon mein tari dekhi hai

na mila par na mila ishq ko andaz-e-junun

hum ne majnun ki bhi aashufta-sari dekhi hai

aab-o-gil ghuncha-o-gul dida-o-dil shams-o-qamar

kin hijabon mein teri parda-dari dekhi hai

han kabhi khul na saka phul pe mazmun-e-bahaar

o saba hum ne teri nama-bari dekhi hai

kaun asir-e-gham-e-kotahi-e-parwaz nahin

kis ne sayyaad ki be-baal-o-pari dekhi hai

(678) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dida-e-tar Ne Ajab Jalwagari Dekhi Hai In English By Famous Poet Anvar Moazzam. Dida-e-tar Ne Ajab Jalwagari Dekhi Hai is written by Anvar Moazzam. Read famous Poem Dida-e-tar Ne Ajab Jalwagari Dekhi Hai for youth and Student by Anvar Moazzam. Free Download Dida-e-tar Ne Ajab Jalwagari Dekhi Hai in PDF.