Dubte Taron Se Puchho Na Qamar Se Puchho

Dubte taron se puchho na qamar se puchho

qissa-e-ruKHsat-e-shab sham-e-sahar se puchho

kis ne bahlaya KHizan ko gul-e-tar se puchho

gul pe kya guzri bahaaron ke jigar se puchho

kaun roya pas-e-diwar-e-chaman aaKHir-e-shab

kyun saba lauT gai rahguzar se puchho

raat bhar dip sar-e-rah jale kis ke liye

kyun andhera tha bhare ghar mein qamar se puchho

kis ke daman se lagi nikhat-e-gul roti hai

kaun hota hai juda ji ke nagar se puchho

ek aawaz to gunji thi ufuq-ta-ba-ufuq

karwan gum hai kahan gard-e-safar se puchho

(686) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dubte Taron Se Puchho Na Qamar Se Puchho In English By Famous Poet Anvar Moazzam. Dubte Taron Se Puchho Na Qamar Se Puchho is written by Anvar Moazzam. Read famous Poem Dubte Taron Se Puchho Na Qamar Se Puchho for youth and Student by Anvar Moazzam. Free Download Dubte Taron Se Puchho Na Qamar Se Puchho in PDF.