Chand Tare Jise Har Shab Dekhen

chand tare jise har shab dekhen

hum bhi us shoKH ko yarab dekhen

yun milen un se ki apna chehra

wo bhi hairan hun kal jab dekhen

pahle bas dil ko KHabar thi dil ki

ab wafa aam hui sab dekhen

qurb mein kya hai jo duri mein nahin

tum jo aao to kisi shab dekhen

ji mein hai phir karen izhaar-e-wafa

phir tere larze hue lab dekhen

main ki hun ek hi aashufta KHayal

log har baat mein matlab dekhen

jo kisi ne kabhi dekhe na sune

wo tamashe wo fusun ab dekhen

aaj to yun gale lag jao ki bas

phir to jaane tumhein kab kab dekhen

lakh patthar sahi wo but 'anjum'

wo ghaDi hum se mile tab dekhen

(1584) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Tare Jise Har Shab Dekhen In English By Famous Poet Anwar Anjum. Chand Tare Jise Har Shab Dekhen is written by Anwar Anjum. Read famous Poem Chand Tare Jise Har Shab Dekhen for youth and Student by Anwar Anjum. Free Download Chand Tare Jise Har Shab Dekhen in PDF.