Jab Se PaDi Hai Un Se Mulaqat Ki Tarah
jab se paDi hai un se mulaqat ki tarah
aati nahin giraft mein haalat ki tarah
aaya jo likhte likhte tere qurb ka KHayal
KHat bhi ulajh gaya hai meri baat ki tarah
tanhai mein milo to tumhein dil ke aas-pas
dikhlaen ek shahr-e-tilismat ki tarah
yunhi jo bandhte rahe tamhid aaj bhi
ye shab bhi bit jaegi kal raat ki tarah
'anwar' yun to dil bhi hai ek anjuman magar
aaseb mein ghiri hui baraat ki tarah
(1948) Peoples Rate This