Wo But Bina Nigah Jamae KhaDa Raha

wo but bina nigah jamae khaDa raha

main aankh band kar ke use pujta raha

KHush-fahmiyon ka aaj bharam khul gaya to kya

ek moD par to us ka mera samna raha

tum ko to ek umr hui hai juda hue

hairan hun raat-bhar main kise DhunDhta raha

ek ek daricha band tha phir bhi ye Dar raha

chhup-chhup ke jaise koi hamein jhankta raha

us ki nigah fitna-ada to bahana thi

KHud mera dil bhi mera lahu chusta raha

'anjum' kise KHabar ki koi mahw-e-intizar

kal jalti dopahar mein akela khaDa raha

(1611) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo But Bina Nigah Jamae KhaDa Raha In English By Famous Poet Anwar Anjum. Wo But Bina Nigah Jamae KhaDa Raha is written by Anwar Anjum. Read famous Poem Wo But Bina Nigah Jamae KhaDa Raha for youth and Student by Anwar Anjum. Free Download Wo But Bina Nigah Jamae KhaDa Raha in PDF.