Kab Lazzaton Ne Zehan Ka Pichha Nahin Kiya

kab lazzaton ne zehan ka pichha nahin kiya

ye mera hausla tha ki lab wa nahin kiya

tajdid-e-irtibaat bhi mumkin thi baad mein

main ne hi is rawish ko gawara nahin kiya

pahle to ek junun sa arz-e-talab ka tha

jab wo mila to dal ne taqaza nahin kiya

suraj raha jo din mein mere ghar se dur dur

phir main ne raat mein bhi ujala nahin kiya

kya wahm tha ki khilte hi lab band ho gae

kya baat thi ki lafz bhi pura nahin kiya

jab mera ishtiyaq hua zabt-azma

phir us ne apne aap hi parda nahin kiya

main sada-lauh sada-bayan sada-arzu

aur us ne sadgi pe bharosa nahin kiya

main ne bhi chalte chalte kiya tha yunhi sawal

kya ho gaya jo aap ne pura nahin kiya

wo kam-nigah tha magar us se chura ke aankh

main ne bhi apne sath kuchh achchha nahin kiya

amrit samajh ke pi liya 'anjum' ne zahr-e-gham

lekin tumhaare nam ko ruswa nahin kiya

(950) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Lazzaton Ne Zehan Ka Pichha Nahin Kiya In English By Famous Poet Anwar Anjum. Kab Lazzaton Ne Zehan Ka Pichha Nahin Kiya is written by Anwar Anjum. Read famous Poem Kab Lazzaton Ne Zehan Ka Pichha Nahin Kiya for youth and Student by Anwar Anjum. Free Download Kab Lazzaton Ne Zehan Ka Pichha Nahin Kiya in PDF.