Khila Hai Phul Bahut Roz Mein Muqaddar Ka

khila hai phul bahut roz mein muqaddar ka

bas ab na band ho darwaza tere mandar ka

tamam shahr hai hangama-e-nashat mein gum

magar ye karb ye sannaTa mere andar ka

kabhi na khul ke hansa hun na roya ji bhar ke

rakha hai main ne hamesha qadam barabar ka

sada kisi ki ho aata hai apne aap se KHauf

wo ajnabi hun ki ghar ka raha na bahar ka

gurez hai use meri gali se yun jaise

yahan jo aaya to ho jaega wo patthar ka

ye gahe gahe ka milna bhi koi milna hai

jo ho sake to pata dijiye kabhi ghar ka

kabhi kabhi ka ho qissa to koi dukh bhi sune

uThae bojh bhala kaun zindagi bhar ka

asir-e-dam-e-fareb-e-zaban hua aaKHir

na e'tibar jise aaya dida-e-tar ka

gham-e-zamana hai wo tegh-e-tishna-kaam 'anjum'

uDe hain panw agar war bach gaya sar ka

(1129) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khila Hai Phul Bahut Roz Mein Muqaddar Ka In English By Famous Poet Anwar Anjum. Khila Hai Phul Bahut Roz Mein Muqaddar Ka is written by Anwar Anjum. Read famous Poem Khila Hai Phul Bahut Roz Mein Muqaddar Ka for youth and Student by Anwar Anjum. Free Download Khila Hai Phul Bahut Roz Mein Muqaddar Ka in PDF.