Aankhen Dikhain Ghair Ko Meri KHata Ke Sath

aankhen dikhain ghair ko meri KHata ke sath

matlab ada wo karte hain aur kis ada ke sath

shoKHi nigah ke sath taghaful jafa ke sath

ushshaq par hujum-e-bala hai bala ke sath

aaKHir hua na zabt shab-e-wasl muddai

nala nikal gaya meri lab se dua ke sath

tere sitam se mujh ko mila mansab-e-kalim

ek wajh-e-guftagu nikal aai KHuda ke sath

tera hijab uThte hi aaya wo na-gahan

dushman ke paon khul gae band-e-qaba ke sath

mein kya ki dushmanon ki bhi qismat ulaT gai

tirchhi adaen aur teri banki ada ke sath

rah-e-talab mein shauq ki manzur hai numud

miTte qadam qadam pe chale rahnuma ke sath

yarab ghalat ho fahm-e-kaj-andesh ka guman

kuchh kah raha hai in se adu iltija ke sath

dete nahin kisi ko pata apne haal ka

begana ban ke chalte hain har aashna ke sath

mai be-talab mili to hui yar ki talab

bandon ke naz bhi hain nirale KHuda ke sath

josh-e-qalaq mein dekhiye kya mangta hun main

yaron ke dam nikalte hain meri dua ke sath

ghar se mujhe nikalte rahiye par is tarah

gah muddai ke sath gahe muddaa ke sath

kyun shauq mein giraiye sath apne shan-e-ishq

aghmaz bhi zarur hai kuchh iltija ke sath

kahta hun ye nasib na dushman ko ho firaq

aa main wo kahte jate hain meri dua ke sath

laila ka nam zinda hai ab tak jahan mein

tum bhi nibah do kisi ahl-e-wafa ke sath

phirte hi us ki aankh ke wabasta-tar hawa

main dil ke sath dil nigah-e-fitna-za ke sath

hum aalam-e-KHayal mein kuchh bhi na KHush hue

hai rashk-e-ghair yaad-e-lab-e-jaan-faza ke sath

ab to baDa KHayal teri ranjishon ka hai

mahshar mein dekh lenge KHuda ki KHuda ke sath

kahta hai Dar ke hath wafa se uTha liya

dushman ki baat ban gai meri dua ke sath

aata hai bu-e-dost mein kafir basa hua

qasid bhi ek raqib hai apna saba ke sath

kya DhunDhte ho dahr mein 'anwar' jamal-e-dost

chande phiro chalo kisi mard-e-KHuda ke sath

(851) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhen Dikhain Ghair Ko Meri KHata Ke Sath In English By Famous Poet Anwar Dehlvi. Aankhen Dikhain Ghair Ko Meri KHata Ke Sath is written by Anwar Dehlvi. Read famous Poem Aankhen Dikhain Ghair Ko Meri KHata Ke Sath for youth and Student by Anwar Dehlvi. Free Download Aankhen Dikhain Ghair Ko Meri KHata Ke Sath in PDF.