Ab Apna Haal Hum Unhen Tahrir Kar Chuke

ab apna haal hum unhen tahrir kar chuke

KHama supurd katib-e-taqdir kar chuke

kahte hain tum visal ki tadbir kar chuke

goya hamare haq mein wo taqdir kar chuke

tadbir ko hawala-e-taqdir kar chuke

hum be-zaban bhi yar se taqrir kar chuke

dil-e-KHar-KHar KHanda-e-chashm-e-asar hai ab

dil-e-garm sirf nala-e-shab-gir kar chuke

marta hun yun ki basta-e-fitrak kyun nahin

main hun wahi ki tum jise naKHchir kar chuke

hum jaan kyun na den dam-e-guftar bar bar

par dekhte hain ye ki wo taqrir kar chuke

bahar hai zabt-e-sharm se aashuftagi meri

tum bhi asir-e-zulf-e-girah-gir kar chuke

waqt-e-payam wasl wo kahte hain ho chuka

shayad adu se wasl ki tahrir kar chuke

bas intizar-e-subh-e-qayamat nahin qubul

hum ab to azm nala-e-shab-gir kar chuke

kuchh muzd-e-ranj bazu-e-qatil nahin ki dil

nazr ada-e-burrash-e-shamshir kar chuke

khulta nahin ye uqda ki ho baiThe shad kyun

kis ko asir-e-zulf-e-girah-gir kar chuke

kahiye ki shan-e-ishq mein kya ho gai kami

go aap KHub si meri tahqir kar chuke

dil hai yahan do-nim qusur-e-tapish muaf

tum bhi nigah-e-bazm ko shamshir kar chuke

khulta hai aur nala-sarai se dil mera

nala ye bin to un pe bhi tasir kar chuke

surat chhupaiye kisi surat-parast se

hum dil mein naqsh aap ki taswir kar chuke

daman-kashan chale hain meri KHak par se wo

barbaad karne ki meri tadbir kar chuke

kuchh hashr-KHezi shab-e-gham-e-intizar-e-marg

kuchh dur zulm waqt ki taKHir kar chuke

gautam ne us ko rakh ke nazar mein gira diya

lekin adu ki izzat-o-tauqir kar chuke

ta-charKH hain uDae phire mujh ko zoaf mein

nale kahan kahan mujhe tashhir kar chuke

hai wahan nigah nigah ko sar-e-dil-bari magar

dil ko mere wo qismat-e-sad-tir kar chuke

kahiye ki zor-e-bazue mein kidhar gaya

sau bar ghair aap ki taqsir kar chuke

pahle jabin hawala-e-taqdir kar chuke

dil musir hai ki kar-kunan-e-qaza a

saman-e-sad-shikastin tamir kar chuke

chun chun ke be-gunah ko wo late hain zer-e-tegh

hum jab se is ummid pe taqsir kar chuke

aaKHir to baad us ke hai yas se ummid

jo kuchh hum apni aah ki tasir kar chuke

ab kya kahen ki qaul-e-wafa de chuke unhen

pahle hi qata daman-e-taqrir kar chuke

ab kya raha lapeT mein daman se aap ke

miTTi hum apni aap jo tauqir kar chuke

hai chashm-e-dajla baz to kya hum ko chashm-e-zist

kashana ru-e-ab pe tamir kar chuke

kyun iltija-e-qatl se kijiye unhen satang

jab waqt aa gaya to wo taKHir kar chuke

hum kis se shukr-o-madh qubul-o-dua karen

lab qismat-e-shikayat-e-tasir kar chuke

ab munh se bolti koi taswir aap ki

jaan apni hum hawala-e-taqdir kar chuke

is lab pe imtihan ke liye mar miTe hain hum

jine se pahle marne ki tadbir kar chuke

hota hai wo hi yahan ki jo manzur hai wahan

'anwar' hum aazmaish-e-taqdir kar chuke

(989) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Apna Haal Hum Unhen Tahrir Kar Chuke In English By Famous Poet Anwar Dehlvi. Ab Apna Haal Hum Unhen Tahrir Kar Chuke is written by Anwar Dehlvi. Read famous Poem Ab Apna Haal Hum Unhen Tahrir Kar Chuke for youth and Student by Anwar Dehlvi. Free Download Ab Apna Haal Hum Unhen Tahrir Kar Chuke in PDF.