Hai Bhi Aur Phir Nazar Nahin Aati

hai bhi aur phir nazar nahin aati

dhyan mein wo kamar nahin aati

mangta hun magar nahin aati

ye ajal waqt par nahin aati

tere kushton ka roz-e-hashr hisab

ghairat o fitna-gar nahin aati

taba apni bhi ek aandhi hai

KHak uDani magar nahin aati

abr kis kis tarah barasta hai

sharm ai chashm-e-tar nahin aati

tum to yun mahw-e-zulm ho ki hamin

aah karni magar nahin aati

nazr kuchh kar ke dil ko le ki ye jins

muft ai muft-bar nahin aati

muKHtasar haal-e-dard-e-dil ye hai

maut ai chaaragar nahin aati

yarab aabaad ku-e-yar rahe

ki qayamat idhar nahin aati

nind ka kaam garche aana hai

meri aankhon mein par nahin aati

be-tarah paDti hai nazar un ki

KHair dil ki nazar nahin aati

be-pari ne uDa rakha hai mujhe

hasrat-e-baal-o-par nahin aati

sab kuchh aata hai tu nahin aata

gar wafa sim-bar nahin aati

apni is aarzu ko kya kosun

aab wahan tegh par nahin aati

jaan deni to hum ko aati hai

dil ko taskin agar nahin aati

ghair kuchh mangta hai dekhen to

hai tumhein kis qadar nahin aati

dil ki apne jigar pe lun lekin

ek ki ek par nahin aati

dushman aur ek nigah mein lauT na jae

choT puri magar nahin aati

tera kucha hai misr-e-nazara

ki palaT kar nazar nahin aati

un ka aana to ek aana hai

maut bhi waqt par nahin aati

'anwar' is shab ki dekh lo taKHir

subh hoti nazar nahin aati

(767) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Bhi Aur Phir Nazar Nahin Aati In English By Famous Poet Anwar Dehlvi. Hai Bhi Aur Phir Nazar Nahin Aati is written by Anwar Dehlvi. Read famous Poem Hai Bhi Aur Phir Nazar Nahin Aati for youth and Student by Anwar Dehlvi. Free Download Hai Bhi Aur Phir Nazar Nahin Aati in PDF.