Ho Raha Hai TukDe TukDe Dil Mere Gham-KHwar Ka

ho raha hai TukDe TukDe dil mere gham-KHwar ka

hai mere zaKHm-e-jigar mein kaT tegh-e-yar ka

shor hai ghul hai jahan mein murdan-e-dushwar ka

ek chalta war hai tegh-e-nigah-e-yar ka

naghma dilkash hai dushman andalib-e-zar ka

hai qafas mein band hona kholna minqar ka

mast kuchh aisa hun chashm-e-nim-e-mast-e-yar ka

zarf KHali jaanta hun saghar-e-sarshaar ka

kya kahun kya haal hai mujh na-tawan-o-zar ka

hun nigah-e-wapsin apni dil-e-bimar ka

aasman phirta hai hasb-e-mudda-e-muddai

rah par lana ghazab hai aise kaj-raftar ka

bal be-bad-KHui mizaj-e-yar mein sau bal paDe

ek bal nikla jo tar-e-gesu-e-KHam-dar ka

dast-e-saqi par lagae aankh rahta hai mudam

jam-e-mai hai dida-e-hasrat kisi mai-KHwar ka

kis qadar bashshash hai asrar se KHali nahin

rang mera uD gaya munh dekh kar sofar ka

main giraftar-e-wafa hun chhuT ke jaunga kahan

baal bandha chor hun har tar-e-zulf-e-yar ka

koi ek gardish to ho aisi bhi han ai chashm-e-yar

shaiKH puchhe mujh se rasta KHana-e-KHummar ka

wah re qismat ki wo mere muqaddar mein paDa

aah ne jo bal nikala charKH-e-kaj-raftar ka

le chalo waiz ko hathon-hath uThae mai-kasho

pasban chal kar bana do KHana-e-KHummar ka

jaan sunne walon ki waiz labon par aa gai

wah kya kahna hai hazrat aap ki guftar ka

hai jo uftadon se kuchh nafrat to nafrat hi sahi

kyun zamin par gir paDa saya teri diwar ka

shakl-e-marham dekh kar Darta hai mera zaKHm-e-dil

khol kar aankh apni dekha hai jo munh sofar ka

nala mere lab pe aata hai jo sau sau naz se

koi partaw le uDa shayad teri raftar ka

ye to zahir hai ki wasl un ka kahan aur hum kahan

lekin is paigham mein kuchh lutf hai takrar ka

dil ko le ja mujh se ya to aap le ya banT de

par ye hissa hai teri gesu ke ek ek tar ka

al-aman us burrish-e-tegh-e-nazar se al-aman

manti hai barq bhi loha teri talwar ka

hath sambhla rakhiyo ai mashshata-e-jadu-taraaz

ek jahan-e-dil hai basta turra-e-tarrar ka

hun to diwana wale hushyari-e-matlab to dekh

sar bhi phoDa DhunD kar patthar teri diwar ka

kuchh idhar se arz matlab aur udhar se kuchh nahin

ek judagana maza hai wasl mein takrar ka

kitna gustaKHi se khincha hai tujhe aaghosh mein

main gale ka haar hun tere gale ke haar ka

kyun nahin girta mere aafat-zadon par hae hae

aasman bhi hai magar saya teri diwar ka

chhu gai kafir hawa kis ki nigah-e-garm se

phul kumlaya hua hai kuchh gul-e-ruKHsar ka

milti hai aaKHir ko kuchh kaifiyat-e-soz-o-gudaz

saiqa hissa hai pahla talib-e-didar ka

ek jalwa par chamak uThti hai sab aqlim-e-ishq

kaun aalam hai hamare dida-e-bedar ka

aasman rakhta hai aankhen mehr-o-mah se us se puchh

kaun aalam hai hamare dida-e-bedar ka

husn mein KHud-raftagi hai to nahin mane hijab

bu-e-gul ko phandna kya bagh ki diwar ka

wo hi apni chaal hai koi mare koi jiye

le uDe sara chalan tum charKH-e-kaj-raftar ka

naKHun-e-shamshir-e-qatil ko dua dete hain hum

uqda khola KHub 'anwar' murdan-e-dushwar ka

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ho Raha Hai TukDe TukDe Dil Mere Gham-KHwar Ka In English By Famous Poet Anwar Dehlvi. Ho Raha Hai TukDe TukDe Dil Mere Gham-KHwar Ka is written by Anwar Dehlvi. Read famous Poem Ho Raha Hai TukDe TukDe Dil Mere Gham-KHwar Ka for youth and Student by Anwar Dehlvi. Free Download Ho Raha Hai TukDe TukDe Dil Mere Gham-KHwar Ka in PDF.