Mohabbat Ho To Barq-e-jism-o-jaan Ho

mohabbat ho to barq-e-jism-o-jaan ho

wo aatish kya ki sine mein nihan ho

nahin hua aur phir kahne ko yahan ho

harif-e-bad-guman ke hum guman ho

tahayyur-e-fart shauq-e-did se hun

wahin mujh ko bhi dekho tum jahan ho

suni jati ho jab mahshar mein rudad

to apni KHatm kyunkar dastan ho

wo mustaghni sahi par dil gaya hai

jo phir ho to unhin par kuchh guman ho

jo sach ho wada-e-didar un ka

to baaton mein qayamat kyun ayan ho

mujhe sar phoDne mein uzr kya hai

magar un ka hi hi sang-e-astan ho

tumhein wo parda yahan hai parda-dari

mere dil mein nahin to phir kahan ho

ruka jata hai dam-e-sina mein kya kya

gale par kash KHanjar sa rawan ho

chhupae hum se kya kya raaz apne

agar koi hamara raaz-dan ho

rahe kyun talKHi-e-farhad ka zikr

agar shirin ki shirin dastan ho

zuleKHa par na ho kyun nazish-e-ishq

ki jab yusuf mata-e-karwan ho

adu KHush KHush hai kuchh kah kar suna hai

na manunga kabhi tum be-dahan ho

mila hai baiThe rahne ka sahaara

jahan ho aur tumhaara aastan ho

usi mein faisla samjha hun dil ka

kahan tak dekhiye zabt-e-fughan ho

yahan baiThe ho par kuchh ukhDe ukhDe

nazar milti nahin dil se kahan hun

sarapa soz hai ulfat mein 'anwar'

ajab kya hai agar aatish-zaban ho

(791) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Ho To Barq-e-jism-o-jaan Ho In English By Famous Poet Anwar Dehlvi. Mohabbat Ho To Barq-e-jism-o-jaan Ho is written by Anwar Dehlvi. Read famous Poem Mohabbat Ho To Barq-e-jism-o-jaan Ho for youth and Student by Anwar Dehlvi. Free Download Mohabbat Ho To Barq-e-jism-o-jaan Ho in PDF.